Bekhud kiye dete hai lyrics
Bekhud kiye dete hain andaz hijabana,
Aa dil me tujhe rakh lun ae jalwa-e-janana.
Itna to karam karna ae chashm-e-kareemana,
Jab jaan labon par ho tum saamne aa jana.
Ji chahta hai tohfe me bhejun main unhen ankhe,
Darshan ka to darshan ho nazrane ka nazrana.
Main hosh-o-hawas apne is bat pe kho baitha,
Has kar jo kaha tumne aaya mera deewana.
Duniya me jab tune mujhe apna banaya hai,
Mehshar me bhi keh dena ye hai mera deewana.
Kyun aankh milayi thi kyun aag lagayi thi,
Ab rukh ko chhupa baithe karke mujhe deewana.
Peene ko to pee lunga par shart zara si hai,
Aap saqi ho our baghdad ka maikhana.
Bekhud kiye dete hain andaz hijabana,
Aa dil me tujhe rakh lun ae jalway-e-janana.

Comments
Post a Comment